Tuesday 20 December 2011

Jeevan ka parichay


Jo na meethi na pheeki hai, 
main us dariya ka paani hun,

Jiske kuchh naazuk pehlu hain, kismet se wahi kahaani hun,

Koi kehta dekha hai tumko,
Koi pehchane har baat meri,
Koi dekh ke andekha kare,
Koi puchhe fir kya jaat teri,

Un sabko kya main batlaun,
main isi lok ki prani hun,

Jiske kuchh naazuk pehlu hain, kismet se wahi kahani hun,

Kabhi  sneh sanjo dun daman mei,
Kabhi dukh ke badal garja dun,
Kabhi sookhe mann ke baagon mei,
Fir prem rang sa barsa dun,

Main to sabke karmo se hun, 
dharmon se main anjaani hun,

Jiske kuch naazuk pehlu hain, kismet se wahi kahani hun,

Main jeevan hun, mera parichay,
to unse hain jo jeete hain,
Aur unse main santusht nahi,
Jo aansu peete rehte hain,

Mujhko jeena jo seekh gaye, 
unki  main sakhi purani hun,

Jiske kuchh nazuk pehlu hain, kismet se wahi kahani hun…

4 comments:

  1. beautiful... keep it up... (add me to the fanlist.. :) )

    ReplyDelete
  2. Umang.... thank you very much for your time... and you can join this site.... :) :) and anshuli... thank you dear love you...

    ReplyDelete